jo kuchh hai tera aks hai darpan mein kuchh nahin
jo kuchh hai terā aks hai darpan meñ kuchh nahīñ
tere sivā ḳhayāl ke dāman meñ kuchh nahīñ
jab se mujhe vo chhoḌ ke pardes jā basā
merī udaas raat ke āñgan meñ kuchh nahīñ
maiñ tishnagī bujhāhuñgā āñkhoñ meñ Duub kar
bhīgī huī bahār ke dāman meñ kuchh nahīñ
zanjīr kī sadā meñ latāfat hai aaj bhī
sach pūchhiye to nuqra.ī kangan meñ kuchh nahīñ
sab kuchh uThā ke le ga.e 'mas.ūd' phir adū
qadmoñ ke kuchh nishān haiñ maskan meñ kuchh nahīñ
jo kuchh hai tera aks hai darpan mein kuchh nahin
tere siwa KHayal ke daman mein kuchh nahin
jab se mujhe wo chhoD ke pardes ja basa
meri udas raat ke aangan mein kuchh nahin
main tishnagi bujhahunga aankhon mein Dub kar
bhigi hui bahaar ke daman mein kuchh nahin
zanjir ki sada mein latafat hai aaj bhi
sach puchhiye to nuqrai kangan mein kuchh nahin
sab kuchh uTha ke le gae 'masud' phir adu
qadmon ke kuchh nishan hain maskan mein kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.