jo kuchh nahin tha wahi ab KHuda bana hua hai
jo kuchh nahīñ thā vahī ab ḳhudā banā huā hai
magar maiñ chup huuñ ki ik silsila banā huā hai
maiñ raushnī kī talab meñ udhar baḌhā to khulā
ki vo charāġh nahīñ aa.ina banā huā hai
havā.eñ chaltī rahīñ bārisheñ bhī hotī rahīñ
shajar tanā huā hai ghoñsla banā huā hai
ḳhud apne aap se ik din savāl kar 'maz.har'
tū kis liye hai yahāñ aur kyā banā huā hai
jo kuchh nahin tha wahi ab KHuda bana hua hai
magar main chup hun ki ek silsila bana hua hai
main raushni ki talab mein udhar baDha to khula
ki wo charagh nahin aaina bana hua hai
hawaen chalti rahin barishen bhi hoti rahin
shajar tana hua hai ghonsla bana hua hai
KHud apne aap se ek din sawal kar 'mazhar'
tu kis liye hai yahan aur kya bana hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.