jo lafz tere lab-e-angbin se niklega
jo lafz tere lab-e-angbīñ se niklegā
ba-sad-ḳhulūs-o-muravvat yaqīñ se niklegā
kisī ke qatl kā ḳhanjar chhupā liyā thā kabhī
ḳhabar nahīñ thī lahū āstīñ se niklegā
agar ye jānte ḳhushbū churā ke rakh lete
vo phūl-zāda hamāre qarīñ se niklegā
jahāñ ye tishna-laboñ kā hujūm baiThā hai
hamārī pyaas kā dariyā vahīñ se niklegā
jahāñ kī ḳhaak hamāre badan se lipTī hai
hamārī fat.h kā sūraj vahīñ se niklegā
tamīz-e-sūd-o-ziyāñ kī hameñ nahīñ fursat
hamārā ijz hamārī jabīñ se niklegā
mohabbatoñ ke samar jis pe muskurā.eñge
vo paudā merī muqaddas zamīñ se niklegā
jo lafz tere lab-e-angbin se niklega
ba-sad-KHulus-o-murawwat yaqin se niklega
kisi ke qatl ka KHanjar chhupa liya tha kabhi
KHabar nahin thi lahu aastin se niklega
agar ye jaante KHushbu chura ke rakh lete
wo phul-zada hamare qarin se niklega
jahan ye tishna-labon ka hujum baiTha hai
hamari pyas ka dariya wahin se niklega
jahan ki KHak hamare badan se lipTi hai
hamari fath ka suraj wahin se niklega
tamiz-e-sud-o-ziyan ki hamein nahin fursat
hamara ijz hamari jabin se niklega
mohabbaton ke samar jis pe muskuraenge
wo pauda meri muqaddas zamin se niklega
- Book : سائبان غزل (Pg. 97)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.