jo le ke hath mein apne tabar bhi aata hai
jo le ke haath meñ apne tabar bhī aatā hai
har ek zulm ko vo rauñd kar bhī aatā hai
tamām din jo bhaTaktā hai dasht-o-sahrā meñ
sunā hai shaam ko vo baam par bhī aatā hai
vo ek rind jo rotā hai terī chāhat meñ
usī kī aañkh meñ ḳhūn-e-jigar bhī aatā hai
maiñ us faqīr se rakhtā huuñ silsila apnā
jahāñ baḌe se baḌā tājvar bhī aatā hai
akele mujh ko kahīñ jaane vo nahīñ detā
jahāñ maiñ jā.ūñ vahāñ ham-safar bhī aatā hai
ye sūkhā peḌ nishānī hai ek qudrat kī
ḳhudā ke hukm se is meñ samar bhī aatā hai
shikan sī aatī hai 'ahmad' kabhī jo māthe par
maiñ aise rotā huuñ chehra nikhar bhī aatā hai
jo le ke hath mein apne tabar bhi aata hai
har ek zulm ko wo raund kar bhi aata hai
tamam din jo bhaTakta hai dasht-o-sahra mein
suna hai sham ko wo baam par bhi aata hai
wo ek rind jo rota hai teri chahat mein
usi ki aankh mein KHun-e-jigar bhi aata hai
main us faqir se rakhta hun silsila apna
jahan baDe se baDa tajwar bhi aata hai
akele mujh ko kahin jaane wo nahin deta
jahan main jaun wahan ham-safar bhi aata hai
ye sukha peD nishani hai ek qudrat ki
KHuda ke hukm se is mein samar bhi aata hai
shikan si aati hai 'ahmad' kabhi jo mathe par
main aise rota hun chehra nikhar bhi aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.