Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo likh na pao agar mohabbat pe bas aziyyat pe sher likkho

Sundus Shaikh

jo likh na pao agar mohabbat pe bas aziyyat pe sher likkho

Sundus Shaikh

MORE BYSundus Shaikh

    jo likh na paao agar mohabbat pe bas aziyyat pe sher likkho

    tumhārī vahshat vāsta hai kisī bhī qīmat pe sher likkho

    hasīn āñkhoñ ko jaam likhnā gulāb hoñToñ pe sher likhnā

    qadīm sho.arā jaan chhoḌo ridā hurmat pe sher likkho

    tumheñ bhī rab ne hai banāyā tumhāre apne bhī mas.ale haiñ

    tumheñ ye kis ne kahā ai shā.ir ki sirf aurat pe sher likkho

    koī marā hai kisī ḳhātir koī rukā hai kisī ḳhātir

    ḳhayālī duniyā se niklo bāhar aur ab haqīqat pe sher likkho

    chalā rahe haiñ bahut se sho.arā yahāñ pe ġhazloñ kaalā dhanda

    so tum bhī sher-o-adab saudā karo aur ujrat pe sher likkho

    vo jis pe duniyā saarī ḳhushiyāñ harām kar ga.ī haiñ 'sundus'

    samāj us satā.ī laḌkī kaalī rañgat pe sher likkho

    jo likh na pao agar mohabbat pe bas aziyyat pe sher likkho

    tumhaari wahshat ka wasta hai kisi bhi qimat pe sher likkho

    hasin aankhon ko jam likhna gulab honTon pe sher likhna

    qadim shoara ki jaan chhoDo rida ki hurmat pe sher likkho

    tumhein bhi rab ne hi hai banaya tumhaare apne bhi masale hain

    tumhein ye kis ne kaha ai shair ki sirf aurat pe sher likkho

    koi mara hai kisi ki KHatir koi ruka hai kisi ki KHatir

    KHayali duniya se niklo bahar aur ab haqiqat pe sher likkho

    chala rahe hain bahut se shoara yahan pe ghazlon ka kala dhanda

    so tum bhi sher-o-adab ka sauda karo aur ujrat pe sher likkho

    wo jis pe duniya ki sari KHushiyan haram kar di gai hain 'sundus'

    samaj ki us satai laDki ki kali rangat pe sher likkho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now