jo likhna chaha na likh paya main KHuda afsos
jo likhnā chāhā na likh paayā maiñ ḳhudā afsos
so rah gayā mirī tahrīr meñ ḳhalā afsos
har ek ḳhvāb ko ashkoñ se dhaar kar maiñ ne
jo dekhā dil to dikhā jā-ba-jā paḌā afsos
bisāt-e-jāñ meñ rahā raqs ḳhvāhishoñ kā magar
chhalak ke āñkhoñ se ashkoñ ne kah diyā afsos
ajab nahīñ hai tū kyā hai koī batā.e mujhe
yahāñ pe jo bhī milā mil ke ye kahā afsos
maiñ apne hāthoñ se ban ban ke ret jab niklā
to merā saayā bhī kahte hue chalā afsos
uThā ke laa.ī jo taqdīr aa.ine ke huzūr
to darj chehre pe aur aa.ine meñ thā afsos
jo aks maiñ ne ubhārā thā dil ke kāġhaz par
qadam qadam pe nadāmat vahī banā afsos
maiñ ḳhvāhishoñ ke janāze ko paḌh ke ghar aayā
kisī ke chehre pe ḳhushiyāñ kisī ke thā afsos
vo ek mauj-e-'nasīmī' thī vahshat-e-dil kī
kisī ke hijr meñ jis ko bahā diyā afsos
likhā huā thā muqaddar meñ pī gayā khul kar
to kaise kah duuñ ke pī kar mujhe huā afsos
jo likhna chaha na likh paya main KHuda afsos
so rah gaya meri tahrir mein KHala afsos
har ek KHwab ko ashkon se dhaar kar main ne
jo dekha dil to dikha ja-ba-ja paDa afsos
bisat-e-jaan mein raha raqs KHwahishon ka magar
chhalak ke aankhon se ashkon ne kah diya afsos
ajab nahin hai tu kya hai koi batae mujhe
yahan pe jo bhi mila mil ke ye kaha afsos
main apne hathon se ban ban ke ret jab nikla
to mera saya bhi kahte hue chala afsos
uTha ke lai jo taqdir aaine ke huzur
to darj chehre pe aur aaine mein tha afsos
jo aks main ne ubhaara tha dil ke kaghaz par
qadam qadam pe nadamat wahi bana afsos
main KHwahishon ke janaze ko paDh ke ghar aaya
kisi ke chehre pe KHushiyan kisi ke tha afsos
wo ek mauj-e-'nasimi' thi wahshat-e-dil ki
kisi ke hijr mein jis ko baha diya afsos
likha hua tha muqaddar mein pi gaya khul kar
to kaise kah dun ke pi kar mujhe hua afsos
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.