jo log aap se baDa hi pyar rakh chuke
jo log aap se baḌā hī pyaar rakh chuke
qadmoñ pe aap un kī hī dastār rakh chuke
tum bijliyāñ rakho to rakho husn kī yahāñ
ham bhī tarāzū meñ ye dil-e-zār rakh chuke
'āshiq jo sar-phire se tumheñ lag rahe haiñ ab
dil meñ dabā ke vo ka.ī asrār rakh chuke
jis aag se hai raushnī duniyā meñ aaj bhī
siine meñ qaid vo sabhī fankār rakh chuke
jo log aap se baDa hi pyar rakh chuke
qadmon pe aap un ki hi dastar rakh chuke
tum bijliyan rakho to rakho husn ki yahan
hum bhi taraazu mein ye dil-e-zar rakh chuke
'ashiq jo sar-phire se tumhein lag rahe hain ab
dil mein daba ke wo kai asrar rakh chuke
jis aag se hai raushni duniya mein aaj bhi
sine mein qaid wo sabhi fankar rakh chuke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.