jo log apne iradon mein jaan rakhte the
jo log apne irādoñ meñ jaan rakhte the
buland hausle ūñchī uḌaan rakhte the
tumhāre paas bhī jin kā koī javāb na thā
savāl ham vo dam-e-imtihān rakhte the
maiñ dil kī baat bhī kahtā to kis tarah kahtā
galī ke sab dar-o-dīvār kaan rakhte the
tumhārī bazm se ḳhāmosh jo chale aa.e
vo kam-suḳhan bhī to muñh meñ zabān rakhte the
hameñ haqīr na samjho tum ai jahāñ vaalo
ki ham bhī zer-e-qadam āsmān rakhte the
jo log apne iradon mein jaan rakhte the
buland hausle unchi uDan rakhte the
tumhaare pas bhi jin ka koi jawab na tha
sawal hum wo dam-e-imtihan rakhte the
main dil ki baat bhi kahta to kis tarah kahta
gali ke sab dar-o-diwar kan rakhte the
tumhaari bazm se KHamosh jo chale aae
wo kam-suKHan bhi to munh mein zaban rakhte the
hamein haqir na samjho tum ai jahan walo
ki hum bhi zer-e-qadam aasman rakhte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.