jo log bhi dar se tere mansub rahe hain
jo log bhī dar se tire mansūb rahe haiñ
firdaus ke vo phir kahāñ matlūb rahe haiñ
hāsil hai sharaf jin ko gadā.ī kā tumhārī
sab log unhīñ ke yahāñ maġhlūb rahe haiñ
dar-asl vahī log tumheñ paar mileñge
jo aag ke dariyā meñ abhī Duub rahe haiñ
ash.ār kī sūrat meñ bhalā kaise bayāñ ho
jalve dar-e-jānāñ ke bahut ḳhuub rahe haiñ
chhūTegā nahīñ sabr kā dāman ki hamāre
aslāf kabhī hazrat-e-yāqūb rahe haiñ
tum chāho agar baañT lo ham se ġham-e-hijrāñ
ham bhī to kisī ke kabhī mahbūb rahe haiñ
jin se bhī nazar pher lī rab ne mire 'afzal'
nazroñ meñ zamāne kī vo ma.ayūb rahe haiñ
jo log bhi dar se tere mansub rahe hain
firdaus ke wo phir kahan matlub rahe hain
hasil hai sharaf jin ko gadai ka tumhaari
sab log unhin ke yahan maghlub rahe hain
dar-asl wahi log tumhein par milenge
jo aag ke dariya mein abhi Dub rahe hain
ashaar ki surat mein bhala kaise bayan ho
jalwe dar-e-jaanan ke bahut KHub rahe hain
chhuTega nahin sabr ka daman ki hamare
aslaf kabhi hazrat-e-yaqub rahe hain
tum chaho agar banT lo hum se gham-e-hijran
hum bhi to kisi ke kabhi mahbub rahe hain
jin se bhi nazar pher li rab ne mere 'afzal'
nazron mein zamane ki wo mayub rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.