jo log Dub rahe hain unhen bachana hai
jo log Duub rahe haiñ unheñ bachānā hai
jahāñ kahīñ ho añdherā diyā jalānā hai
agarche baat bahut talḳh hai magar phir bhī
koī sune na sune ham ko ab sunānā hai
dikhā.ī detā hai ham sab ko harf harf lahū
na jaane kaun se mazlūm kā fasāna hai
ye log ā.eñge hamdardiyāñ jatāne ko
ġhamoñ kī rut hai magar phir bhī muskurānā hai
havā kuchh aisī chalī tez ab ke mausam meñ
na koī tinkā rahā aur na āshiyāna hai
hue haiñ 'nāz' yahāñ sab ke sab ḳhafā ham se
pata nahīñ hai hameñ kis ko ab manānā hai
jo log Dub rahe hain unhen bachana hai
jahan kahin ho andhera diya jalana hai
agarche baat bahut talKH hai magar phir bhi
koi sune na sune hum ko ab sunana hai
dikhai deta hai hum sab ko harf harf lahu
na jaane kaun se mazlum ka fasana hai
ye log aaenge hamdardiyan jatane ko
ghamon ki rut hai magar phir bhi muskurana hai
hawa kuchh aisi chali tez ab ke mausam mein
na koi tinka raha aur na aashiyana hai
hue hain 'naz' yahan sab ke sab KHafa hum se
pata nahin hai hamein kis ko ab manana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.