jo log sochte hain wo shayad nahin hun main
jo log sochte haiñ vo shāyad nahīñ huuñ maiñ
bāhar nahīñ huuñ ḳhud ke hī andar kahīñ huuñ maiñ
rakhtī huuñ apne paañv zamīñ par sañbhāl ke
maiñ āsmān se nahīñ ahl-e-zamīñ huuñ maiñ
kahte haiñ log is ko yahāñ e'timād-e-zāt
auroñ kī to ḳhabar nahīñ ḳhud kā yaqīñ huuñ maiñ
ye zarf hī hai jo kare ta.yīn-e-manzilat
jo ashk tere poñchh de vo āstīñ huuñ maiñ
maiñ dast-basta mohar-ba-lab ho ke kyā kahūñ
is bārgāh-e-ishq meñ ḳhasta-jabīñ huuñ maiñ
mehr-o-vafā ḳhulūs hai jis kī fazāoñ meñ
be-shak usī dayār kī adnā makīñ huuñ maiñ
jo log sochte hain wo shayad nahin hun main
bahar nahin hun KHud ke hi andar kahin hun main
rakhti hun apne panw zamin par sanbhaal ke
main aasman se nahin ahl-e-zamin hun main
kahte hain log is ko yahan e'timad-e-zat
auron ki to KHabar nahin KHud ka yaqin hun main
ye zarf hi hai jo kare tayin-e-manzilat
jo ashk tere ponchh de wo aastin hun main
main dast-basta mohar-ba-lab ho ke kya kahun
is bargah-e-ishq mein KHasta-jabin hun main
mehr-o-wafa KHulus hai jis ki fazaon mein
be-shak usi dayar ki adna makin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.