jo log ujale ka sab ko paigham sunane aate hain
jo log ujāle kā sab ko paiġhām sunāne aate haiñ
in shab-zādoñ kī nagrī meñ vo suulī par chaḌh jaate haiñ
ai mere ḳhudā kuchh tū hī batā ye daur-e-alam kab guzregā
is bastī meñ to musannif bhī sach kahne se ghabrāte haiñ
is duniyā meñ apnī ḳhātir ik lamha bhī ḳhushiyoñ kā nahīñ
fariyād ki bas ab ham hī haiñ jo rañj pe rañj uThāte haiñ
is shahr ke jitne baasī haiñ vo gūñge bahre haiñ varna
un par bhī khule ye ahl-e-qalam likhte haiñ yā chillāte haiñ
is daur ke baad jo daur nayā duniyā meñ aane vaalā hai
ham 'rājas' chup kī pastī meñ us daur ke naġhme gaate haiñ
jo log ujale ka sab ko paigham sunane aate hain
in shab-zadon ki nagri mein wo suli par chaDh jate hain
ai mere KHuda kuchh tu hi bata ye daur-e-alam kab guzrega
is basti mein to musannif bhi sach kahne se ghabraate hain
is duniya mein apni KHatir ek lamha bhi KHushiyon ka nahin
fariyaad ki bas ab hum hi hain jo ranj pe ranj uThate hain
is shahr ke jitne basi hain wo gunge bahre hain warna
un par bhi khule ye ahl-e-qalam likhte hain ya chillate hain
is daur ke baad jo daur naya duniya mein aane wala hai
hum 'rajas' chup ki pasti mein us daur ke naghme gate hain
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 267)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.