jo log waqt ke chalte yahan badalte nahin
jo log vaqt ke chalte yahāñ badalte nahīñ
vo gir ke uThte haiñ lekin kabhī sañbhalte nahīñ
maiñ ek-tarfa mohabbat kī kyā misāleñ duuñ
ye log aag pe chalte haiñ aur jalte nahīñ
ye ahl-e-'ilm musībat ko Tālte haiñ yuuñ
ki ghar se maañ kī du'ā ke baġhair chalte nahīñ
tū zindagī meñ mirī aa ke raushnī kar de
ki mujh se tanhā umīdoñ ke diip jalte nahīñ
tamām koshisheñ kī haiñ inheñ manāne kī
ye pattharoñ se bane dil magar pighalte nahīñ
jo log waqt ke chalte yahan badalte nahin
wo gir ke uThte hain lekin kabhi sanbhalte nahin
main ek-tarfa mohabbat ki kya misalen dun
ye log aag pe chalte hain aur jalte nahin
ye ahl-e-'ilm musibat ko Talte hain yun
ki ghar se man ki du'a ke baghair chalte nahin
tu zindagi mein meri aa ke raushni kar de
ki mujh se tanha umidon ke dip jalte nahin
tamam koshishen ki hain inhen manane ki
ye pattharon se bane dil magar pighalte nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.