jo log zaKHm ka marham talash karte hain
jo log zaḳhm kā marham talāsh karte haiñ
ham aise logoñ ko har-dam talāsh karte haiñ
ye kis ke ashk gire haiñ guloñ ke dāman par
ki log ashk meñ shabnam talāsh karte haiñ
tamām karte haiñ zardār kī ḳhabar-gīrī
magar ġharīboñ ko hī kam talāsh karte haiñ
surāġh miltā hai un ko ḳhudā kī qudrat kā
jo us ke rāzoñ ko paiham talāsh karte hai
yahāñ pe zulm tashaddud se aaj tang aa kar
sukūñ-pasand bhī ab ham talāsh karte haiñ
jo chāhte haiñ bhalā.ī vatan ke matvāle
vahī to amn kā parcham talāsh karte haiñ
kabhī to apne garebāñ meñ jhāñk kar dekheñ
jo aib ġhairoñ ke har-dam talāsh karte haiñ
jo log zaKHm ka marham talash karte hain
hum aise logon ko har-dam talash karte hain
ye kis ke ashk gire hain gulon ke daman par
ki log ashk mein shabnam talash karte hain
tamam karte hain zardar ki KHabar-giri
magar gharibon ko hi kam talash karte hain
suragh milta hai un ko KHuda ki qudrat ka
jo us ke raazon ko paiham talash karte hai
yahan pe zulm tashaddud se aaj tang aa kar
sukun-pasand bhi ab hum talash karte hain
jo chahte hain bhalai watan ke matwale
wahi to amn ka parcham talash karte hain
kabhi to apne gareban mein jhank kar dekhen
jo aib ghairon ke har-dam talash karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.