jo luT chuka hai ab wo samman DhunDhti hai
jo luT chukā hai ab vo sammān DhūñDhtī hai
nannhī kalī chaman meñ muskān DhūñDhtī hai
kāñToñ ke vāste vo gul-dān DhūñDhtī hai
nādān hai jahāñ meñ insān DhūñDhtī hai
bebas hai zindagī aur gardish meñ bhī sitāre
ab maut kā vo apne parvān DhūñDhtī hai
DhūñDhe nahīñ vo hiirā DhūñDhe nahīñ vo motī
jiine kā bas jahāñ meñ sāmān DhūñDhtī hai
jazbāt hī nahīñ kuchh jab shā'irī meñ terī
'mīnā' kalām meñ kyā arkān DhūñDhtī hai
jo luT chuka hai ab wo samman DhunDhti hai
nannhi kali chaman mein muskan DhunDhti hai
kanTon ke waste wo gul-dan DhunDhti hai
nadan hai jahan mein insan DhunDhti hai
bebas hai zindagi aur gardish mein bhi sitare
ab maut ka wo apne parwan DhunDhti hai
DhunDhe nahin wo hira DhunDhe nahin wo moti
jine ka bas jahan mein saman DhunDhti hai
jazbaat hi nahin kuchh jab sha'iri mein teri
'mina' kalam mein kya arkan DhunDhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.