jo luT gaya to har ek saz dastiyab hua
jo luT gayā to har ik saaz dastiyāb huā
bhaTak ke raah talāshī to kāmyāb huā
mirī hī chashm se sairāb vo sarāb huā
maiñ ho gayā koī kāñTā to vo gulāb huā
savāl karte zamāne guzar ga.e mujh ko
sukūt kar liyā to phir vahī javāb huā
bhulā ke ḳhud ko har ik dil hai dekhne meñ lagā
kise milī koī ne.amat kise azaab huā
hazār log hue haiñ magar ziyāda der
batāo kaun sā jhūTā yahāñ janāb huā
saroñ ke taaj hue qaum ke chhupe rustam
bahut satāyā gayā jo khulī kitāb huā
tirī judā.ī ke din bhī bahut bure the magar
ġhamoñ kā chhoḌ ke jaanā bahut ḳharāb huā
haqīqatoñ kī haqīqat jo ho ga.ī mā'lūm
'azīz' dekh mirā rom-rom ḳhvāb huā
jo luT gaya to har ek saz dastiyab hua
bhaTak ke rah talashi to kaamyab hua
meri hi chashm se sairab wo sarab hua
main ho gaya koi kanTa to wo gulab hua
sawal karte zamane guzar gae mujh ko
sukut kar liya to phir wahi jawab hua
bhula ke KHud ko har ek dil hai dekhne mein laga
kise mili koi neamat kise azab hua
hazar log hue hain magar ziyaada der
batao kaun sa jhuTa yahan janab hua
saron ke taj hue qaum ke chhupe rustam
bahut sataya gaya jo khuli kitab hua
teri judai ke din bhi bahut bure the magar
ghamon ka chhoD ke jaana bahut KHarab hua
haqiqaton ki haqiqat jo ho gai ma'lum
'aziz' dekh mera rom-rom KHwab hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.