jo lutf-e-mai-kashi hai nigaron mein aaega
jo lutf-e-mai-kashī hai nigāroñ meñ aa.egā
yā bā-shu.ūr bāda-gusāroñ meñ aa.egā
vo jis ko ḳhalvatoñ meñ bhī aane se aar hai
aane pe aa.egā to hazāroñ meñ aa.egā
ham ne ḳhizāñ kī fasl chaman se nikāl dī
ham ko magar payām bahāroñ meñ aa.egā
is daur-e-ehtiyāj meñ jo log jī liye
un kā bhī naam sho.abada-kāroñ meñ aa.egā
jo shaḳhs mar gayā hai vo milne kabhī kabhī
pichhle pahar ke sard sitāroñ meñ aa.egā
jo lutf-e-mai-kashi hai nigaron mein aaega
ya ba-shuur baada-gusaron mein aaega
wo jis ko KHalwaton mein bhi aane se aar hai
aane pe aaega to hazaron mein aaega
hum ne KHizan ki fasl chaman se nikal di
hum ko magar payam bahaaron mein aaega
is daur-e-ehtiyaj mein jo log ji liye
un ka bhi nam shoabada-karon mein aaega
jo shaKHs mar gaya hai wo milne kabhi kabhi
pichhle pahar ke sard sitaron mein aaega
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 249)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.