jo mahtab lage hai kabhi gulab lage
jo mahtab lage hai kabhi gulab lage
Saghir Ahmad Saghir Ahsani
MORE BYSaghir Ahmad Saghir Ahsani
jo māhtāb lage hai kabhī gulāb lage
use qarīb se dekheñ to ik sarāb lage
har ek shaḳhs pe apnī nazar nahīñ Tiktī
ho intiḳhāb to aisā ki intiḳhāb lage
ajiib vasl hai lagtā hai hijr ho jaise
tirī ḳhamosh-nigāhī hameñ azaab lage
bas ek baar tirā naam kyā liyā ham ne
zarā sī baat pe logoñ ko ham ḳharāb lage
ye kyā ki hijr ne ham se yaqīn chhīn liyā
vo sāmne ho hamāre hameñ ye ḳhvāb lage
gunāhgār huuñ nisbat hai ism-e-ahmad se
so apnā naam bhī lenā mujhe savāb lage
jo mahtab lage hai kabhi gulab lage
use qarib se dekhen to ek sarab lage
har ek shaKHs pe apni nazar nahin Tikti
ho intiKHab to aisa ki intiKHab lage
ajib wasl hai lagta hai hijr ho jaise
teri KHamosh-nigahi hamein azab lage
bas ek bar tera nam kya liya hum ne
zara si baat pe logon ko hum KHarab lage
ye kya ki hijr ne hum se yaqin chhin liya
wo samne ho hamare hamein ye KHwab lage
gunahgar hun nisbat hai ism-e-ahmad se
so apna nam bhi lena mujhe sawab lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.