jo mahka rahe teri yaad suhani mein
jo mahkā rahe terī yaad suhānī meñ
aisī ḳhushbū kahāñ hai raat kī raanī meñ
ubhrā thā āñkhoñ meñ ek sunahrā ḳhvāb
jaate jaate de gayā zaḳhm nishānī meñ
raat ga.e tak yūñhī tanhā sāhil par
ghūmte rahnā paañv paañv paanī meñ
utrā jo is dil meñ qāfila ulfat kā
kaisī kaisī ġhazleñ huiiñ ravānī meñ
kyuuñ be-rañg kiyā hai merī oḌhnī ko
tere ġham kī dhuup ne bharī javānī meñ
kab se apnā bachpan DhūñDhtī phirtī hai
'bīnā' terī bikhrī huī kahānī meñ
jo mahka rahe teri yaad suhani mein
aisi KHushbu kahan hai raat ki rani mein
ubhra tha aankhon mein ek sunahra KHwab
jate jate de gaya zaKHm nishani mein
raat gae tak yunhi tanha sahil par
ghumte rahna panw panw pani mein
utra jo is dil mein qafila ulfat ka
kaisi kaisi ghazlen huin rawani mein
kyun be-rang kiya hai meri oDhni ko
tere gham ki dhup ne bhari jawani mein
kab se apna bachpan DhunDhti phirti hai
'bina' teri bikhri hui kahani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.