jo makan tha la-makan hone laga hai
jo makāñ thā lā-makāñ hone lagā hai
ab zamīñ par āsmāñ hone lagā hai
dāstāñ dīvār-o-dar kahne lage haiñ
aadmī to be-zabāñ hone lagā hai
zindagī ke saath chal kar dekhiye to
hādisa kyā kyā yahāñ hone lagā hai
be-sabab kuchh log mujh se mil rahe haiñ
vaqt shāyad mehrbāñ hone lagā hai
maiñ nikal aaya huuñ jis kī rahguzar se
mere andar vo nihāñ hone lagā hai
dhund kī dīvār hai manzar-ba-manzar
rāsta phir be-nishāñ hone lagā hai
āñdhiyoñ kī zad meñ aa pahuñchā hai insāñ
gard meñ gum kārvāñ hone lagā hai
paḌh rahe haiñ log chehre kī tamāzat
haal chehre se bayāñ hone lagā hai
yaad us kī chal rahī hai saath 'ḳhālid'
vo matā.a-e-jism-o-jāñ hone lagā hai
jo makan tha la-makan hone laga hai
ab zamin par aasman hone laga hai
dastan diwar-o-dar kahne lage hain
aadmi to be-zaban hone laga hai
zindagi ke sath chal kar dekhiye to
hadisa kya kya yahan hone laga hai
be-sabab kuchh log mujh se mil rahe hain
waqt shayad mehrban hone laga hai
main nikal aaya hun jis ki rahguzar se
mere andar wo nihan hone laga hai
dhund ki diwar hai manzar-ba-manzar
rasta phir be-nishan hone laga hai
aandhiyon ki zad mein aa pahuncha hai insan
gard mein gum karwan hone laga hai
paDh rahe hain log chehre ki tamazat
haal chehre se bayan hone laga hai
yaad us ki chal rahi hai sath 'KHalid'
wo mataa-e-jism-o-jaan hone laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.