jo mauj KHushbuon ki thi gulab se nikal gai
jo mauj KHushbuon ki thi gulab se nikal gai
Shahnaz Parveen Sahar
MORE BYShahnaz Parveen Sahar
jo mauj ḳhushbuoñ kī thī gulāb se nikal ga.ī
maiñ muzmahil thī is qadar shabāb se nikal ga.ī
ye zindagī ye ruḳhsatī usī kī haiñ amānateñ
shikasta jism meñ tire azaab se nikal ga.ī
maiñ likh rahī thī dāstāñ tirā bhī naam aa gayā
kahānī apne aap hī kitāb se nikal ga.ī
vo lams baḌh rahā thā ab qarīb se qarīb-tar
so maiñ ne faisla kiyā habāb se nikal ga.ī
sharīk dauḌ meñ hue safar bhī aur qayām bhī
to raḳhsh-e-vaqt maiñ tirī rikāb se nikal ga.ī
savāl kā javāb bhī savāl hī se degā tū
jhamelā-sāz maiñ tire sarāb se nikal ga.ī
maiñ mubtalā-e-ārzū thī aarzū se jaag uThī
aur agle pal hī zindagī hisāb se nikal ga.ī
nirāsh chāñd tīrgī meñ ghul ke shānt ho gayā
'sahar' maiñ niiñd meñ chalī to ḳhvāb se nikal ga.ī
jo mauj KHushbuon ki thi gulab se nikal gai
main muzmahil thi is qadar shabab se nikal gai
ye zindagi ye ruKHsati usi ki hain amanaten
shikasta jism mein tere azab se nikal gai
main likh rahi thi dastan tera bhi nam aa gaya
kahani apne aap hi kitab se nikal gai
wo lams baDh raha tha ab qarib se qarib-tar
so main ne faisla kiya habab se nikal gai
sharik dauD mein hue safar bhi aur qayam bhi
to raKHsh-e-waqt main teri rikab se nikal gai
sawal ka jawab bhi sawal hi se dega tu
jhamela-saz main tere sarab se nikal gai
main mubtala-e-arzu thi aarzu se jag uThi
aur agle pal hi zindagi hisab se nikal gai
nirash chand tirgi mein ghul ke shant ho gaya
'sahar' main nind mein chali to KHwab se nikal gai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.