jo maza zaKHm-e-jigar dard-e-nihan mein aae
jo maza zaḳhm-e-jigar dard-e-nihāñ meñ aa.e
aah meñ kaif na vo lutf fuġhāñ meñ aa.e
aaj sach bolne kī maiñ ne jasārat kī thī
kyoñ na phir zaḳhm bhalā merī zabāñ meñ aa.e
shahr-e-jāñ meñ na huā jab koī pursāñ un kā
mere aañsū mire dāman kī amaañ meñ aa.e
zindagī nuqta-e-āġhāz hai aur kuchh bhī nahīñ
kaash anjām bhī kuchh us kā gumāñ meñ aa.e
mil ga.ī kashmakash-e-vahm-o-yaqīñ se manzil
jab bhī ham kār-gah-e-shīsha-garāñ meñ aa.e
ḳhūn-e-gul jab rag-e-har-ḳhār se jaarī ho jaa.e
kyoñ na phir lutf bahāroñ kā ḳhizāñ meñ aa.e
guftugū pyaar kī ham us se kareñ kaise 'zuhūr'
baat karnā jise nafrat kī zabāñ meñ aa.e
jo maza zaKHm-e-jigar dard-e-nihan mein aae
aah mein kaif na wo lutf fughan mein aae
aaj sach bolne ki main ne jasarat ki thi
kyon na phir zaKHm bhala meri zaban mein aae
shahr-e-jaan mein na hua jab koi pursan un ka
mere aansu mere daman ki aman mein aae
zindagi nuqta-e-aghaz hai aur kuchh bhi nahin
kash anjam bhi kuchh us ka guman mein aae
mil gai kashmakash-e-wahm-o-yaqin se manzil
jab bhi hum kar-gah-e-shisha-garan mein aae
KHun-e-gul jab rag-e-har-KHar se jari ho jae
kyon na phir lutf bahaaron ka KHizan mein aae
guftugu pyar ki hum us se karen kaise 'zuhur'
baat karna jise nafrat ki zaban mein aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.