jo mere gunahon pe nazar rakhte hain
jo mere gunāhoñ pe nazar rakhte haiñ
album meñ vahī titlī ke par rakhte haiñ
zulmat kī samā.at meñ khul paḌtā hai
mazlūm ke alfāz asar rakhte haiñ
kis vaqt kahāñ kaun jalātā hai charāġh
itnī to patañge bhī ḳhabar rakhte haiñ
haiñ aable kāñToñ ke liye pairvī meñ
tāroñ ke liye dīda-e-tar rakhte haiñ
bāteñ vo bhalā kaise kareñge khul kar
'parvez' miyāñ dil meñ jo Dar rakhte haiñ
jo mere gunahon pe nazar rakhte hain
album mein wahi titli ke par rakhte hain
zulmat ki samaat mein khul paDta hai
mazlum ke alfaz asar rakhte hain
kis waqt kahan kaun jalata hai charagh
itni to patange bhi KHabar rakhte hain
hain aable kanTon ke liye pairwi mein
taron ke liye dida-e-tar rakhte hain
baaten wo bhala kaise karenge khul kar
'parwez' miyan dil mein jo Dar rakhte hain
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 271)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.