jo meri aankh mein Thahre nahin wo chhoD diye
jo merī aañkh meñ Thahre nahīñ vo chhoḌ diye
tumhāre jaise ka.ī but banā ke toḌ diye
maiñ tez chalne kā 'aadī thā qāfile meñ mujhe
jo log sust mile rāste meñ chhoḌ diye
ḳhudā ne lams utārā magar yahāñ ham ne
badan ke silsile tāroñ ke saath joḌ diye
hamāre dil kā parinda uḌaan bharne lagā
kisī ne phir se paTāḳhe havā meñ phoḌ diye
maiñ jin ke saath kabhī baat kartā rahtā thā
mire harīf ne vo aa.ine bhī toḌ diye
jo meri aankh mein Thahre nahin wo chhoD diye
tumhaare jaise kai but bana ke toD diye
main tez chalne ka 'adi tha qafile mein mujhe
jo log sust mile raste mein chhoD diye
KHuda ne lams utara magar yahan hum ne
badan ke silsile taron ke sath joD diye
hamare dil ka parinda uDan bharne laga
kisi ne phir se paTaKHe hawa mein phoD diye
main jin ke sath kabhi baat karta rahta tha
mere harif ne wo aaine bhi toD diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.