jo meri aankh se us jism mein daKHil hui hogi
jo merī aañkh se us jism meñ dāḳhil huī hogī
vo laḌkī phir mire siine meñ jā kar dil huī hogī
vo merī jān-o-dil kī kaifiyat se ḳhuub vāqif hai
vo kitnī baar merī ruuh meñ shāmil huī hogī
na jaane kitne badle hoñge us ne pairahan apne
to phir āḳhir vo mere ishq ke qābil huī hogī
mirī āñkhoñ kā sannāTā bhī kuchh to boltā hogā
vo laḌkī sun na paa.ī is qadar ġhāfil huī hogī
palaT kar dekhnā aur dekh kar aañsū bahā denā
use jaane meñ mujh ko chhoḌ kar mushkil huī hogī
mo.attar shaam hogī aur mahaktī har sahar us kī
tirī zulfoñ kī ye ḳhushbū jise hāsil huī hogī
añdheroñ meñ kisī ko kuchh nazar aatā nahīñ to phir
añdheroñ meñ sitam kī raushnī shāmil huī hogī
hameñ to Duub marne ke liye hai chullū-bhar paanī
kisī ke vāste mauj-e-balā sāhil huī hogī
mujhe is daur ke hālāt se lagtā nahīñ 'arpit'
kise is zindagī meñ zindagī hāsil huī hogī
jo meri aankh se us jism mein daKHil hui hogi
wo laDki phir mere sine mein ja kar dil hui hogi
wo meri jaan-o-dil ki kaifiyat se KHub waqif hai
wo kitni bar meri ruh mein shamil hui hogi
na jaane kitne badle honge us ne pairahan apne
to phir aaKHir wo mere ishq ke qabil hui hogi
meri aankhon ka sannaTa bhi kuchh to bolta hoga
wo laDki sun na pai is qadar ghafil hui hogi
palaT kar dekhna aur dekh kar aansu baha dena
use jaane mein mujh ko chhoD kar mushkil hui hogi
moattar sham hogi aur mahakti har sahar us ki
teri zulfon ki ye KHushbu jise hasil hui hogi
andheron mein kisi ko kuchh nazar aata nahin to phir
andheron mein sitam ki raushni shamil hui hogi
hamein to Dub marne ke liye hai chullu-bhar pani
kisi ke waste mauj-e-bala sahil hui hogi
mujhe is daur ke haalat se lagta nahin 'arpit'
kise is zindagi mein zindagi hasil hui hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.