jo meri aankhon mein surKHi thi sham hote hi
jo merī āñkhoñ meñ surḳhī thī shaam hote hī
kisī kī yaad sulagtī thī shaam hote hī
tamām din maiñ tamāzat meñ kaaT detā thā
phir ik havā mujhe chhūtī thī shaam hote hī
khiñchā huā chalā jaatā thā maiñ kanār-e-āb
vahāñ udāsī bulātī thī shaam hote hī
gale na lagtā maiñ us ke to aur kyā kartā
fazā meñ ḳhunkī hī aisī thī shaam hote hī
koī qadīm udāsī basī huī thī vahāñ
ujaaḌ bastī sisaktī thī shaam hote hī
maiñ apne dukh use shāyad kabhī nahīñ kahtā
magar vo baat hī kartī thī shaam hote hī
jo meri aankhon mein surKHi thi sham hote hi
kisi ki yaad sulagti thi sham hote hi
tamam din main tamazat mein kaT deta tha
phir ek hawa mujhe chhuti thi sham hote hi
khincha hua chala jata tha main kanar-e-ab
wahan udasi bulati thi sham hote hi
gale na lagta main us ke to aur kya karta
faza mein KHunki hi aisi thi sham hote hi
koi qadim udasi basi hui thi wahan
ujaD basti sisakti thi sham hote hi
main apne dukh use shayad kabhi nahin kahta
magar wo baat hi karti thi sham hote hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.