jo meri ruh ki gahraiyon mein utra tha
jo merī ruuh kī gahrā.iyoñ meñ utrā thā
vo ek narm mulā.em havā kā jhoñkā thā
us ek lams ke baare meñ kyā batā.ūñ tumheñ
ThiThurtī sardiyoñ kī tez dhuup jaisā thā
maiñ ik zamīn banā ghūmtā thā jis ke sabab
vo ek gul thā mire chāñd par jo khiltā thā
vo ek baaġh thā jis meñ thiiñ do hasīñ jhīleñ
maiñ un ko dekhte hī Duub Duub jaatā thā
us ek qasr ko andar se jhāñkne kī talab
mirī nazar ne baḌā saḳht vaqt kaaTā thā
maiñ umr bhar ke liye ḳhud ko bhuul baiThā thā
koī pukār nahīñ thī vo ek nashsha thā
maiñ raushnī se milā thā bas itnā yaad rahā
phir us ke baad se chāroñ taraf añdherā thā
ye aur baat ki vo merā ho nahīñ paayā
ḳhudā ne us ko mire vāste hī bhejā thā
jo meri ruh ki gahraiyon mein utra tha
wo ek narm mulaem hawa ka jhonka tha
us ek lams ke bare mein kya bataun tumhein
ThiThurti sardiyon ki tez dhup jaisa tha
main ek zamin bana ghumta tha jis ke sabab
wo ek gul tha mere chand par jo khilta tha
wo ek bagh tha jis mein thin do hasin jhilen
main un ko dekhte hi Dub Dub jata tha
us ek qasr ko andar se jhankne ki talab
meri nazar ne baDa saKHt waqt kaTa tha
main umr bhar ke liye KHud ko bhul baiTha tha
koi pukar nahin thi wo ek nashsha tha
main raushni se mila tha bas itna yaad raha
phir us ke baad se chaaron taraf andhera tha
ye aur baat ki wo mera ho nahin paya
KHuda ne us ko mere waste hi bheja tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.