jo mila dard hai miras teri yaadon ki
jo milā dard hai mīrās tirī yādoñ kī
is kī shiddat se faqat maiñ mirā dil hai vāqif
hijr kī ab jo masāfat kahīñ tai karnī hai
ek muddat se faqat maiñ mirā dil hai vāqif
haa.e us naqsh-e-mohabbat kī talattuf-tab’ī
jis kī lazzat se faqat maiñ mirā dil hai vāqif
haa.e is tab' o tabī'at meñ makīñ rang-e-junūñ
us kī jaudat se faqat maiñ mirā dil hai vāqif
māya-e-dard jo ris aa.e the ik haikal meñ
sab kī vahdat se faqat maiñ mirā dil hai vāqif
ruḳh ke ḳhāmosh shikan se vo umañDtī shafqat
mauj-e-hiddat se faqat maiñ mirā dil hai vāqif
dil se vo narm ravāñ saḳht magar zāhir meñ
aisī fitrat se faqat maiñ mirā dil hai vāqif
ye to sach hai ki mileñge vo mujhe mahshar meñ
aisī hijrat se faqat maiñ mirā dil hai vāqif
jo mila dard hai miras teri yaadon ki
is ki shiddat se faqat main mera dil hai waqif
hijr ki ab jo masafat kahin tai karni hai
ek muddat se faqat main mera dil hai waqif
hae us naqsh-e-mohabbat ki talattuf-tab’i
jis ki lazzat se faqat main mera dil hai waqif
hae is tab' o tabi'at mein makin rang-e-junun
us ki jaudat se faqat main mera dil hai waqif
maya-e-dard jo ris aae the ek haikal mein
sab ki wahdat se faqat main mera dil hai waqif
ruKH ke KHamosh shikan se wo umanDti shafqat
mauj-e-hiddat se faqat main mera dil hai waqif
dil se wo narm rawan saKHt magar zahir mein
aisi fitrat se faqat main mera dil hai waqif
ye to sach hai ki milenge wo mujhe mahshar mein
aisi hijrat se faqat main mera dil hai waqif
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.