jo mila karti thi mujhko lakDiyon ki Tal par
jo milā kartī thī mujh ko lakḌiyoñ kī Taal par
aisī laḌkī aaj tak dekhī nahīñ hai maal par
aañkh meñ saa.e kī ḳhvāhish peT meñ roTī kī bhuuk
phir bhī kaisī tāzgī thī phuul jaise gaal par
us ko dekhā to use bas dekhtā hī rah gayā
jaise ik zaḳhmī sī titlī ek TuuTī Daal par
jaane kaise us ko merī pyaas kī pahuñchī ḳhabar
laa.ī chāñdī se kaTore sone aise thaal par
patlī patlī roTiyoñ ko chaopḌegī haath se
Daal kar taḌkā vo mujh ko degī patlī daal par
merī nazroñ se chhupā kar us se āñkheñ poñchh leñ
us ne merā naam likh rakkhā thā jis rūmāl par
jo mila karti thi mujh ko lakDiyon ki Tal par
aisi laDki aaj tak dekhi nahin hai mal par
aankh mein sae ki KHwahish peT mein roTi ki bhuk
phir bhi kaisi tazgi thi phul jaise gal par
us ko dekha to use bas dekhta hi rah gaya
jaise ek zaKHmi si titli ek TuTi Dal par
jaane kaise us ko meri pyas ki pahunchi KHabar
lai chandi se kaTore sone aise thaal par
patli patli roTiyon ko chaopDegi hath se
Dal kar taDka wo mujh ko degi patli dal par
meri nazron se chhupa kar us se aankhen ponchh len
us ne mera nam likh rakkha tha jis rumal par
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 202)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.