jo mujhko dikhaya gaya tarik ziyaada
jo mujhko dikhaya gaya tarik ziyaada
Mohammad Mubashshir Mayo
MORE BYMohammad Mubashshir Mayo
jo mujh ko dikhāyā gayā tārīk ziyāda
rahtā huuñ usī ḳhvāb ke nazdīk ziyāda
ye pahuñche hue log bahut pahuñche haiñ shāyad
lete haiñ ye auroñ se zarā bhiik ziyāda
ai chashm-e-ġharībāñ yuuñ pareshāñ na huā kar
tū pahle hī rahtī nahīñ kuchh Thiik ziyāda
maiñ ḳhvāb meñ bhī ḳhvāb na dekhūñgā kisī ke
is kār-e-aziyyat meñ hai taz.hīk ziyāda
maġhrib-zadā sochoñ kī tijārat meñ paḌe log
bārīk ko karne lage bārīk ziyāda
mai-ḳhānoñ kī raunaq ye batātī hai 'mubasshir'
chaltī nahīñ dīvānoñ kī tahrīk ziyāda
jo mujh ko dikhaya gaya tarik ziyaada
rahta hun usi KHwab ke nazdik ziyaada
ye pahunche hue log bahut pahunche hain shayad
lete hain ye auron se zara bhik ziyaada
ai chashm-e-ghariban yun pareshan na hua kar
tu pahle hi rahti nahin kuchh Thik ziyaada
main KHwab mein bhi KHwab na dekhunga kisi ke
is kar-e-aziyyat mein hai tazhik ziyaada
maghrib-zada sochon ki tijarat mein paDe log
barik ko karne lage barik ziyaada
mai-KHanon ki raunaq ye batati hai 'mubasshir'
chalti nahin diwanon ki tahrik ziyaada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.