jo mujh pe thi wo nazr-e-inayat bahaal kar
jo mujh pe thī vo nazr-e-ināyat bahāl kar
mad.hosh kar mujhe merī hālat bahāl kar
gumnāmiyoñ ke habs meñ dam ghuT ke rah gayā
badnām kar mujhe mirī shohrat bahāl kar
bazm-e-ḳhayāl suunī paḌī hai tire baġhair
masnad sañbhāl dil kī sadārat bahāl kar
is ḳhāmushī ne mujh ko girāñ-gosh kar diyā
ik chīḳh maar merī samā'at bahāl kar
ab chāhtā huuñ taḳhliya tere ḳhayāl se
kuchh din mire dimāġh kī ḳhalvat bahāl kar
rone se chain miltā hai lekin rulā.e kaun
ai malika-e-sukūn aziyyat bahāl kar
jo mujh pe thi wo nazr-e-inayat bahaal kar
madhosh kar mujhe meri haalat bahaal kar
gumnamiyon ke habs mein dam ghuT ke rah gaya
badnam kar mujhe meri shohrat bahaal kar
bazm-e-KHayal suni paDi hai tere baghair
masnad sanbhaal dil ki sadarat bahaal kar
is KHamushi ne mujh ko giran-gosh kar diya
ek chiKH mar meri sama'at bahaal kar
ab chahta hun taKHliya tere KHayal se
kuchh din mere dimagh ki KHalwat bahaal kar
rone se chain milta hai lekin rulae kaun
ai malika-e-sukun aziyyat bahaal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.