jo muntazar hai wahi inqilab main dunga
jo muntazar hai vahī inqilāb maiñ dūñgā
tumhāre paas qalam hai kitāb maiñ dūñgā
vo bhuul jā.egā apne sabhī savāloñ ko
javāb aisā use lā-javāb maiñ dūñgā
haqīqatoñ ke talāshī fareb-ḳhurda haiñ
samundaroñ meñ chhupā kar sarāb maiñ dūñgā
tamām 'umr jalegī mirī tarah vo bhī
Thahar ki ziist ko aisā 'azāb maiñ dūñgā
girī hai ḳhuun kī har buuñd mere dāman par
gunāh tū ne kiyā hai hisāb maiñ dūñgā
koī mujhe mire ḳhvāboñ se duur kar degā
kisī kī jāgtī āñkhoñ ko ḳhvāb maiñ dūñgā
bas ek ghūñT banā degā ‘ārif-o-sālik
tum apnā jaam uThāo sharāb maiñ dūñgā
vo apne haath meñ ik phuul le ke kahtā hai
ab aa.e iiñT ki patthar javāb maiñ dūñgā
jo muntazar hai wahi inqilab main dunga
tumhaare pas qalam hai kitab main dunga
wo bhul jaega apne sabhi sawalon ko
jawab aisa use la-jawab main dunga
haqiqaton ke talashi fareb-KHurda hain
samundaron mein chhupa kar sarab main dunga
tamam 'umr jalegi meri tarah wo bhi
Thahar ki zist ko aisa 'azab main dunga
giri hai KHun ki har bund mere daman par
gunah tu ne kiya hai hisab main dunga
koi mujhe mere KHwabon se dur kar dega
kisi ki jagti aankhon ko KHwab main dunga
bas ek ghunT bana dega ‘arif-o-salik
tum apna jam uThao sharab main dunga
wo apne hath mein ek phul le ke kahta hai
ab aae inT ki patthar jawab main dunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.