jo muqaddar mein nahin uski talab rakhte hain
jo muqaddar meñ nahīñ us kī talab rakhte haiñ
ham bhī ai yaar haiñ kyā dil ko 'ajab rakhte haiñ
justujū kuchh bhī nahīñ tere sivā jān-e-ġhazal
ham to sāñseñ bhī ravāñ tere sabab rakhte haiñ
shīrīñ guftār bhī haiñ zulf-e-siyah-kār bhī haiñ
ḳhūb-rū chehre pe āñkheñ bhī ġhazab rakhte haiñ
tujh ko dekheñ jo na āñkheñ to bhalā kyā dekheñ
ḳhvāhish-e-dīd meñ kyā sharm-o-adab rakhte haiñ
tere kūche meñ jo aate haiñ faqīroñ kī tarah
ye alag baat baḌā nām-o-nasab rakhte haiñ
jo muqaddar mein nahin us ki talab rakhte hain
hum bhi ai yar hain kya dil ko 'ajab rakhte hain
justuju kuchh bhi nahin tere siwa jaan-e-ghazal
hum to sansen bhi rawan tere sabab rakhte hain
shirin guftar bhi hain zulf-e-siyah-kar bhi hain
KHub-ru chehre pe aankhen bhi ghazab rakhte hain
tujh ko dekhen jo na aankhen to bhala kya dekhen
KHwahish-e-did mein kya sharm-o-adab rakhte hain
tere kuche mein jo aate hain faqiron ki tarah
ye alag baat baDa nam-o-nasab rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.