jo mushkil thi use aasan banata ja raha tha
jo mushkil thī use āsāñ banātā jā rahā thā
ki jo hotā thā maiñ us ko bhulātā jā rahā thā
mujhe bhī apnī sachchā.ī pe zarra bhar na shak thā
zamāna bhī qasam apnī uThātā jā rahā thā
koī thā jo ki taktā jā rahā thā kārḳhāna
koī thā kārḳhāna jo chalātā jā rahā thā
badaltī jā rahī thī merī hālat lahza lahza
kisī ko jis tarah maiñ yaad aatā jā rahā thā
kahīñ andhī bhikāran laḌkhaḌātī jā rahī thī
jo paanī thā zad-e-jārūb khātā jā rahā thā
zuleḳhā-e-zamāna merī āñkhoñ meñ chhupī thī
ye mulk-e-misr thā aur suut kaatā jā rahā thā
jo paanī thā vo ik dahshat meñ baḌhtā aa rahā thā
jo dariyā thā kināroñ ko uḌātā jā rahā thā
zamānoñ ke mutābiq baab bañdhte jā rahe the
kanār-e-vaqt meñ fasleñ lagātā jā rahā thā
kahāñ andhe kuñveñ haiñ un ko bhartā jā rahā thā
kahāñ raste hī raste haiñ batātā jā rahā thā
jo mushkil thi use aasan banata ja raha tha
ki jo hota tha main us ko bhulata ja raha tha
mujhe bhi apni sachchai pe zarra bhar na shak tha
zamana bhi qasam apni uThata ja raha tha
koi tha jo ki takta ja raha tha karKHana
koi tha karKHana jo chalata ja raha tha
badalti ja rahi thi meri haalat lahza lahza
kisi ko jis tarah main yaad aata ja raha tha
kahin andhi bhikaran laDkhaDati ja rahi thi
jo pani tha zad-e-jarub khata ja raha tha
zuleKHa-e-zamana meri aankhon mein chhupi thi
ye mulk-e-misr tha aur sut kata ja raha tha
jo pani tha wo ek dahshat mein baDhta aa raha tha
jo dariya tha kinaron ko uData ja raha tha
zamanon ke mutabiq bab bandhte ja rahe the
kanar-e-waqt mein faslen lagata ja raha tha
kahan andhe kunwen hain un ko bharta ja raha tha
kahan raste hi raste hain batata ja raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.