jo muskura rahe hain bahut meri baat par
jo muskurā rahe haiñ bahut merī baat par
aa kar vo tabsira bhī kareñ un nikāt par
pahle to har umiid kā ḳhuuñ kar diyā gayā
sar lā ke rakh diyā gayā phir mere haat par
aisī bhī koī zaat hai is kā.enāt meñ
uñglī kabhī uThī na ho jis kī hayāt par
duniyā ko kyā subūt dikhāoge soch lo
qaa.em nahīñ rahegā vo kal apnī baat par
sūraj ke Dūbte hī añdhere to baḌh ga.e
qaabū rakhā hai chāñd sitāroñ ne raat par
'afzal' ġhazal ke fan se hai kyā terā vāsta
terī giraft kyā hai batā lafziyāt par
jo muskura rahe hain bahut meri baat par
aa kar wo tabsira bhi karen un nikat par
pahle to har umid ka KHun kar diya gaya
sar la ke rakh diya gaya phir mere hat par
aisi bhi koi zat hai is kaenat mein
ungli kabhi uThi na ho jis ki hayat par
duniya ko kya subut dikhaoge soch lo
qaem nahin rahega wo kal apni baat par
suraj ke Dubte hi andhere to baDh gae
qabu rakha hai chand sitaron ne raat par
'afzal' ghazal ke fan se hai kya tera wasta
teri giraft kya hai bata lafziyat par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.