jo na mujhse teri saqi rah-e-iltifat hoti
jo na mujh se terī saaqī rah-e-iltifāt hotī
to na kā.enāt-e-mastī mirī kā.enāt hotī
tujhe rang-e-ishq miltā to mujhe thā ganj-e-rāhat
jise log maut kahte vo mirī hayāt hotī
vo ḳhatā pe miltī jannat jo amal ke naam likh dī
ye hai aur baat zāhid vo kuchh aur baat hotī
rahe qaid aarzū meñ thī yahāñ kī yā vahāñ kī
jo najāt us se miltī to kahīñ najāt hotī
tirī yaad jis meñ hotī tirā qurb jis meñ miltā
usī din ko din samajhte vahī raat raat hotī
yahī hai subūt-e-duniyā ki hai aaj kal nahīñ hai
na ye be-subūt hotī na ye be-sabāt hotī
tū ḳhatā par apnī 'aiman' kabhī munfa.il to hotā
tujhe baḳhsh detī rahmat jo ye ek baat hotī
jo na mujh se teri saqi rah-e-iltifat hoti
to na kaenat-e-masti meri kaenat hoti
tujhe rang-e-ishq milta to mujhe tha ganj-e-rahat
jise log maut kahte wo meri hayat hoti
wo KHata pe milti jannat jo amal ke nam likh di
ye hai aur baat zahid wo kuchh aur baat hoti
rahe qaid aarzu mein thi yahan ki ya wahan ki
jo najat us se milti to kahin najat hoti
teri yaad jis mein hoti tera qurb jis mein milta
usi din ko din samajhte wahi raat raat hoti
yahi hai subut-e-duniya ki hai aaj kal nahin hai
na ye be-subut hoti na ye be-sabaat hoti
tu KHata par apni 'aiman' kabhi munfail to hota
tujhe baKHsh deti rahmat jo ye ek baat hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.