jo na-murad kucha-e-jaanan mein aa gae
jo nā-murād kūcha-e-jānāñ meñ aa ga.e
marne se pahle gor-e-ġharībāñ meñ aa ga.e
chhūte hī mere mūñchh kī tarah ukhaḌ ga.ī
bal lākhoñ terī zulf-e-pareshāñ meñ aa ga.e
likkhī haiñ vahshiyoñ ke muqaddar meñ do jagah
zindāñ se jab chhuTe to bayābāñ meñ aa ga.e
elān-e-dīd sunte hī do roz peshtar
āshiq hazāroñ kūcha-e-jānāñ meñ aa ga.e
ham pāgaloñ kā aur Thikānā kahīñ nahīñ
bastī meñ jab piTe to bayābāñ meñ aa ga.e
muddat se thī inheñ jo namak-pāshiyoñ kī chaah
zaḳhm-e-jigar uchhal ke namakdāñ meñ aa ga.e
vahshat meñ aa gayā hameñ biivī kā jab ḳhayāl
us ko bhī saath le ke bayābāñ meñ aa ga.e
piTvāyā ḳhuub hī unheñ darbāñ ke haath se
jo be-bulā.e mahfil-e-jānāñ meñ aa ga.e
aahā kā aur hū kā ajab shor mach gayā
jis vaqt 'būm' bazm-e-suḳhan-dāñ meñ aa ga.e
jo na-murad kucha-e-jaanan mein aa gae
marne se pahle gor-e-ghariban mein aa gae
chhute hi mere munchh ki tarah ukhaD gai
bal lakhon teri zulf-e-pareshan mein aa gae
likkhi hain wahshiyon ke muqaddar mein do jagah
zindan se jab chhuTe to bayaban mein aa gae
elan-e-did sunte hi do roz peshtar
aashiq hazaron kucha-e-jaanan mein aa gae
hum pagalon ka aur Thikana kahin nahin
basti mein jab piTe to bayaban mein aa gae
muddat se thi inhen jo namak-pashiyon ki chah
zaKHm-e-jigar uchhal ke namakdan mein aa gae
wahshat mein aa gaya hamein biwi ka jab KHayal
us ko bhi sath le ke bayaban mein aa gae
piTwaya KHub hi unhen darban ke hath se
jo be-bulae mahfil-e-jaanan mein aa gae
aaha ka aur hu ka ajab shor mach gaya
jis waqt 'bum' bazm-e-suKHan-dan mein aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.