jo narawa hai rawa ho gaya to kya hoga
jo nāravā hai ravā ho gayā to kyā hogā
zamāna aur burā ho gayā to kyā hogā
chalā hai merī qayādat meñ qāfila ġham kā
jo maiñ hī ābla-pā ho gayā to kyā hogā
ye sochtā huuñ ki duniyā meñ merā saayā bhī
jo mere saath baḌā ho gayā to kyā hogā
adālatoñ meñ taraf-dāriyoñ kā daur hai yaañ
mirā gavāh tirā ho gayā to kyā hogā
jise sañbhāl ke rakkhā hai ham ne dil meñ 'suhail'
vo zaḳhm phir se harā ho gayā to kyā hogā
jo narawa hai rawa ho gaya to kya hoga
zamana aur bura ho gaya to kya hoga
chala hai meri qayaadat mein qafila gham ka
jo main hi aabla-pa ho gaya to kya hoga
ye sochta hun ki duniya mein mera saya bhi
jo mere sath baDa ho gaya to kya hoga
adalaton mein taraf-dariyon ka daur hai yan
mera gawah tera ho gaya to kya hoga
jise sanbhaal ke rakkha hai hum ne dil mein 'suhail'
wo zaKHm phir se hara ho gaya to kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.