jo nahin jaanta hun KHalq-e-KHuda puchhti hai
jo nahin jaanta hun KHalq-e-KHuda puchhti hai
Naushad Ahmad Kareemi
MORE BYNaushad Ahmad Kareemi
jo nahīñ jāntā huuñ ḳhalq-e-ḳhudā pūchhtī hai
mujh se har moḌ pe ab merā patā pūchhtī hai
be-amāñ dekh ke TuuTe hue pattoñ kī tarah
le chalūñ tujh ko kidhar mujh se havā pūchhtī hai
mujh meñ vo kaun sī shai hai jo har ik pal mujh se
honā kab qaid-e-badan se hai rihā pūchhtī hai
dekh kar jis ko sabhī log haiñ ghabrā.e hue
ḳhairiyat merī vahī rāh-e-fanā pūchhtī hai
muntazir kab se mirī tishna-labī thī jis kī
vo ghaTā mujh se samundar kā pata pūchhtī hai
zarre zarre kī zabāñ par hai kahānī merī
mujh se ye duniyā mire baare meñ kyā pūchhtī hai
dasht-e-zulmat hai mujhe shahr-e-nigārāñ 'naushād'
hāl-e-dil mujh se sitāroñ kī ziyā pūchhtī hai
jo nahin jaanta hun KHalq-e-KHuda puchhti hai
mujh se har moD pe ab mera pata puchhti hai
be-aman dekh ke TuTe hue patton ki tarah
le chalun tujh ko kidhar mujh se hawa puchhti hai
mujh mein wo kaun si shai hai jo har ek pal mujh se
hona kab qaid-e-badan se hai riha puchhti hai
dekh kar jis ko sabhi log hain ghabrae hue
KHairiyat meri wahi rah-e-fana puchhti hai
muntazir kab se meri tishna-labi thi jis ki
wo ghaTa mujh se samundar ka pata puchhti hai
zarre zarre ki zaban par hai kahani meri
mujh se ye duniya mere bare mein kya puchhti hai
dasht-e-zulmat hai mujhe shahr-e-nigaran 'naushad'
haal-e-dil mujh se sitaron ki ziya puchhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.