jo ojhal hai nigahon se wo manzar dekh sakti hun

jo ojhal hai nigahon se wo manzar dekh sakti hun
Syeda Nafis Bano shama
MORE BYSyeda Nafis Bano shama
jo ojhal hai nigāhoñ se vo manzar dekh saktī huuñ
maiñ ab parchhā.iyoñ meñ terā paikar dekh saktī huuñ
kisī ke hijr ne baḳhshī hai aisī raushnī mujh ko
maiñ tanhā.ī tire chehre ko chhū kar dekh saktī huuñ
jo ik ḳhāmosh sahrā kī tarah mā'lūm hotī haiñ
maiñ un āñkhoñ meñ poshīda samundar dekh saktī huuñ
judā hote hue vo apnī āñkheñ de gayā mujh ko
ki ab maiñ ḳhud ko ā.īna haTā kar dekh saktī huuñ
bharam apne safar kā ham-safar koī na rakh paayā
tire ham-rāh bhī kuchh duur chal kar dekh saktī huuñ
jo ojhal hai nigahon se wo manzar dekh sakti hun
main ab parchhaiyon mein tera paikar dekh sakti hun
kisi ke hijr ne baKHshi hai aisi raushni mujh ko
main tanhai tere chehre ko chhu kar dekh sakti hun
jo ek KHamosh sahra ki tarah ma'lum hoti hain
main un aankhon mein poshida samundar dekh sakti hun
juda hote hue wo apni aankhen de gaya mujh ko
ki ab main KHud ko aaina haTa kar dekh sakti hun
bharam apne safar ka ham-safar koi na rakh paya
tere ham-rah bhi kuchh dur chal kar dekh sakti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.