jo pa kar bhi kuchh nahin khote wo rote hain is duniya mein
jo pa kar bhi kuchh nahin khote wo rote hain is duniya mein
Sulaiman Areeb
MORE BYSulaiman Areeb
jo pā kar bhī kuchh nahīñ khote vo rote haiñ is duniyā meñ
aañsū hoñ dāman pe kisī ke ham dhote haiñ is duniyā meñ
andhoñ kī bastī meñ kab se ā.īne maiñ bech rahā huuñ
mujh jaise bhī aql ke andhe kam hote haiñ is duniyā meñ
ḳhvāb agar jhūTe hoñ bhī to ta.abīreñ sachchī hotī haiñ
merī niiñd uḌāne vaale kab sote haiñ is duniyā meñ
jab vo mile the zaḳhm hañse the paat hare the phuul khile the
kitnī ruteñ aa.iiñ bhī ga.iiñ bhī ham rote haiñ is duniyā meñ
kāñToñ kī barsāteñ pā kar ham ne to gul bāñTe lekin
fasl ḳhushī kī kāTne vaale ġham bote haiñ is duniyā meñ
sadiyoñ kī tahzīb ke ḳhāliq qabreñ apnī chhoḌ ga.e haiñ
aur un qabroñ kī miTTī ko ham Dhote haiñ is duniyā meñ
jo pa kar bhi kuchh nahin khote wo rote hain is duniya mein
aansu hon daman pe kisi ke hum dhote hain is duniya mein
andhon ki basti mein kab se aaine main bech raha hun
mujh jaise bhi aql ke andhe kam hote hain is duniya mein
KHwab agar jhuTe hon bhi to tabiren sachchi hoti hain
meri nind uDane wale kab sote hain is duniya mein
jab wo mile the zaKHm hanse the pat hare the phul khile the
kitni ruten aain bhi gain bhi hum rote hain is duniya mein
kanTon ki barsaten pa kar hum ne to gul banTe lekin
fasl KHushi ki kaTne wale gham bote hain is duniya mein
sadiyon ki tahzib ke KHaliq qabren apni chhoD gae hain
aur un qabron ki miTTi ko hum Dhote hain is duniya mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.