Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo paDhne ke liye usko diya diya jae

Abhishar Geeta Shukl

jo paDhne ke liye usko diya diya jae

Abhishar Geeta Shukl

MORE BYAbhishar Geeta Shukl

    jo paḌhne ke liye us ko diyā diyā jaa.e

    to mere jism ko ik ḳhat banā diyā jaa.e

    vo ruuh pyaas hai merī so chāhtā huuñ maiñ

    badan haTā ke mujhe rāstā diyā jaa.e

    vo laḌkī roz yahī kahtī rahtī hai mujh se

    chalo charāġh jalā ke bujhā diyā jaa.e

    hamīñ parinde ke har zaḳhm ḳhayāl rakheñ

    hamīñ se le ke parinda uḌā diyā jaa.e

    to is se pahle ki mujh ko bharam ho hañsne

    tamāsha ḳhatm ho pardā girā diyā jaa.e

    ye jism āñsuoñ se itnā bhar chukā hai dost

    miTā ke ab mujhe dariyā banā diyā jaa.e

    yahīñ chhuā thā mujhe chhoḌte hue us ne

    yahāñ ke zaḳhm ko gahrā banā diyā jaa.e

    jo paDhne ke liye us ko diya diya jae

    to mere jism ko ek KHat bana diya jae

    wo ruh pyas hai meri so chahta hun main

    badan haTa ke mujhe rasta diya jae

    wo laDki roz yahi kahti rahti hai mujh se

    chalo charagh jala ke bujha diya jae

    hamin parinde ke har zaKHm ka KHayal rakhen

    hamin se le ke parinda uDa diya jae

    to is se pahle ki mujh ko bharam ho hansne ka

    tamasha KHatm ho parda gira diya jae

    ye jism aansuon se itna bhar chuka hai dost

    miTa ke ab mujhe dariya bana diya jae

    yahin chhua tha mujhe chhoDte hue us ne

    yahan ke zaKHm ko gahra bana diya jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now