jo parind KHwahishon ke kabhi hum shikar karte
jo parind ḳhvāhishoñ ke kabhī ham shikār karte
na gilā kisī se rahtā na ye dil figār karte
vo ilāhadgī yaqīnan na yuuñ iḳhtiyār karte
jo zarā bhī uns ham se kabhī rakhte, pyaar karte
thī ḳhamoshī-e-salāsil kī bhī shart is liye bhī
kahāñ jā ke hashr barpā tire jāñ-nisār karte
huī is qadar nadāmat hameñ kah ke hāl-e-dil ḳhud
na thā ye hamārā maqsad unheñ sogvār karte
ye fazā-e-be-yaqīñ hī banī rabt meñ tavāzun
na ye rasm-o-rāh rahtī agar e'tibār karte
na amaañ nasīb hotī tumheñ chār-sū kabhī phir
kahīñ ham ravish tumhārī agar iḳhtiyār karte
yahāñ bārish-e-sitam se jo lage the zaḳhm un ko
hue bad-havās aise ki kahāñ shumār karte
na.e āshiqo batāo ye kahāñ kī āshiqī hai
kahīñ jā ke dil luTāte kahīñ jaañ nisār karte
kabhī milte phir na shāyad kisī moḌ par bhī donoñ
isī rāh-e-pur-ḳhatar par agar intizār karte
ye jhijhak rah-e-vafā meñ, ye shikāyat-e-taġhāful
hameñ dhaḌkanoñ meñ paate agar e'tibār karte
kabhī detī ham ko mohlat jo ye gardish-e-zamāna
tire zor-e-tamkanat par to zarūr vaar karte
tirī be-ruḳhī pe sar par na uThāte āsmāñ gar
ye tū hī batā ki kyā phir tire jāñ-nisār karte
yahī dil-lagī tumhārī kisī aah meñ badaltī
jo hamāre zaḳhm ginte, kabhī ġham shumār karte
na the ham yagāna aise ki savāl uThtā koī
unheñ kyā ġharaz thī ham se jo vo intizār karte
hai ye faḳhr jis pe tum ko vo svād-e-raushnī hai
kabhī zulmat-e-zamāñ bhī kahīñ taar taar karte
ye jhijhak, lihāz, rutba, ye hudūd, ye tavāzun
kabhī hāl-e-dil batāte, kabhī e'tibār karte
sar-e-rāh sab utarte, mah-o-āftāb-o-anjum
shab-e-tār jagmagātī agar intizār karte
vo jo thā amal, usī kā radd-e-amal hai 'ḳhālid'
na to vo shikār hote na hameñ shikār karte
jo parind KHwahishon ke kabhi hum shikar karte
na gila kisi se rahta na ye dil figar karte
wo ilahadgi yaqinan na yun iKHtiyar karte
jo zara bhi uns hum se kabhi rakhte, pyar karte
thi KHamoshi-e-salasil ki bhi shart is liye bhi
kahan ja ke hashr barpa tere jaan-nisar karte
hui is qadar nadamat hamein kah ke haal-e-dil KHud
na tha ye hamara maqsad unhen sogwar karte
ye faza-e-be-yaqin hi bani rabt mein tawazun
na ye rasm-o-rah rahti agar e'tibar karte
na aman nasib hoti tumhein chaar-su kabhi phir
kahin hum rawish tumhaari agar iKHtiyar karte
yahan barish-e-sitam se jo lage the zaKHm un ko
hue bad-hawas aise ki kahan shumar karte
nae aashiqo batao ye kahan ki aashiqi hai
kahin ja ke dil luTate kahin jaan nisar karte
kabhi milte phir na shayad kisi moD par bhi donon
isi rah-e-pur-KHatar par agar intizar karte
ye jhijhak rah-e-wafa mein, ye shikayat-e-taghaful
hamein dhaDkanon mein pate agar e'tibar karte
kabhi deti hum ko mohlat jo ye gardish-e-zamana
tere zor-e-tamkanat par to zarur war karte
teri be-ruKHi pe sar par na uThate aasman gar
ye tu hi bata ki kya phir tere jaan-nisar karte
yahi dil-lagi tumhaari kisi aah mein badalti
jo hamare zaKHm ginte, kabhi gham shumar karte
na the hum yagana aise ki sawal uThta koi
unhen kya gharaz thi hum se jo wo intizar karte
hai ye faKHr jis pe tum ko wo swad-e-raushni hai
kabhi zulmat-e-zaman bhi kahin tar tar karte
ye jhijhak, lihaz, rutba, ye hudud, ye tawazun
kabhi haal-e-dil batate, kabhi e'tibar karte
sar-e-rah sab utarte, mah-o-aftab-o-anjum
shab-e-tar jagmagati agar intizar karte
wo jo tha amal, usi ka radd-e-amal hai 'KHalid'
na to wo shikar hote na hamein shikar karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.