jo pas-e-shohrat hai us ruswai ke pichhe na ja
jo pas-e-shohrat hai us rusvā.ī ke pīchhe na jā
ḳhāmushī ko gungunā shahnā.ī ke pīchhe na jā
itnā arsa dasht meñ rah kar dil-e-vahshat-pasand
āḳhirī vaqtoñ meñ ik dānā.ī ke pīchhe na jā
jāgtī āñkhoñ ke ḳhvāboñ par yaqīñ qaa.em rahe
niiñd bas dhoka hai is jam.hā.ī ke pīchhe na jā
ek din ḳhud shāh-e-sahrā paañv chūmegā tere
is laqab ko yaad rakh purvā.ī ke pīchhe na jā
kuchh badan apnī thakan ke bojh se bhī haiñ niDhāl
TūTte jismoñ kī har añgḌā.ī ke pīchhe na jā
jo pas-e-shohrat hai us ruswai ke pichhe na ja
KHamushi ko gunguna shahnai ke pichhe na ja
itna arsa dasht mein rah kar dil-e-wahshat-pasand
aaKHiri waqton mein ek danai ke pichhe na ja
jagti aankhon ke KHwabon par yaqin qaem rahe
nind bas dhoka hai is jamhai ke pichhe na ja
ek din KHud shah-e-sahra panw chumega tere
is laqab ko yaad rakh purwai ke pichhe na ja
kuchh badan apni thakan ke bojh se bhi hain niDhaal
TuTte jismon ki har angDai ke pichhe na ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.