jo phunk de dil-e-alam wo rah paida kar
jo phunk de dil-e-alam wo rah paida kar
Haidar Husain Fiza Lucknowi
MORE BYHaidar Husain Fiza Lucknowi
jo phūñk de dil-e-ālam vo raah paidā kar
jo barq ban ke gire vo nigāh paidā kar
ḳhulūs-o-ḳhulq-o-mohabbat kī chaah paidā kar
magar na is meñ kabhī ishtibāh paidā kar
sikhā.e sabr jo vo dars-gāh paidā kar
sukūn-o-amn kī ik shāh-rāh paidā kar
ġham-e-jahāñ se hai bachnā tujhe agar ai dil
tū zer-e-dāman-e-ulfat panāh paidā kar
jo bazm meñ haiñ fidā.ī nahīñ haiñ sab terī
parakh sake jo vafā vo nigāh paidā kar
jo bāġhbāñ ne nasheman jalāyā ai bulbul
sameT kar jale tinke gavāh paidā kar
agar bahār-e-chaman kī hai aarzū ai dil
havā-e-dasht se bhī rasm-o-rāh paidā kar
sanam kā dil meñ zabāñ par ḳhudā kā naam rahe
gunāh ke liye uzr-e-gunāh paidā kar
hañsī uḌā na mohabbat kī haa.e vaa.e na kar
jo dil kī huuk bane aisī aah paidā kar
'fazā' yahī dil-e-betāb kā taqāzā hai
harīm-e-nāz hī meñ jā.e-gāh paidā kar
jo phunk de dil-e-alam wo rah paida kar
jo barq ban ke gire wo nigah paida kar
KHulus-o-KHulq-o-mohabbat ki chah paida kar
magar na is mein kabhi ishtibah paida kar
sikhae sabr jo wo dars-gah paida kar
sukun-o-amn ki ek shah-rah paida kar
gham-e-jahan se hai bachna tujhe agar ai dil
tu zer-e-daman-e-ulfat panah paida kar
jo bazm mein hain fidai nahin hain sab teri
parakh sake jo wafa wo nigah paida kar
jo baghban ne nasheman jalaya ai bulbul
sameT kar jale tinke gawah paida kar
agar bahaar-e-chaman ki hai aarzu ai dil
hawa-e-dasht se bhi rasm-o-rah paida kar
sanam ka dil mein zaban par KHuda ka nam rahe
gunah ke liye uzr-e-gunah paida kar
hansi uDa na mohabbat ki hae wae na kar
jo dil ki huk bane aisi aah paida kar
'faza' yahi dil-e-betab ka taqaza hai
harim-e-naz hi mein jae-gah paida kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.