jo qaid apni zat ki tanhaiyon mein tha
jo qaid apnī zaat kī tanhā.iyoñ meñ thā
vo bhī samajh rahā thā ki gahrā.iyoñ meñ thā
ik mehr-e-nīm-roz thā ik chaudhvīñ kā chāñd
kis darja iḳhtilāf mire bhā.iyoñ meñ thā
is kā nahīñ malāl tamāsha bane rahe
ġham to ye hai ki vo bhī tamāshā.iyoñ meñ thā
ḳhud-matlabī ke raag ne be-lutf kar diyā
varna maza ḳhulūs kī shahnā.iyoñ meñ thā
maiñ yuuñ sirāt-e-karb se hañstā guzar gayā
terā ḳhayāl hausla-afzāiyoñ meñ thā
ab kyā kareñ jo dil pe kisī ke lagā ho zaḳhm
nashtar hamārī bātoñ kī sachchā.iyoñ meñ thā
hālāñki ḳhud 'shafīq' bikhartā chalā gayā
masrūf phir bhī anjuman-ārā.iyoñ meñ thā
jo qaid apni zat ki tanhaiyon mein tha
wo bhi samajh raha tha ki gahraiyon mein tha
ek mehr-e-nim-roz tha ek chaudhwin ka chand
kis darja iKHtilaf mere bhaiyon mein tha
is ka nahin malal tamasha bane rahe
gham to ye hai ki wo bhi tamashaiyon mein tha
KHud-matlabi ke rag ne be-lutf kar diya
warna maza KHulus ki shahnaiyon mein tha
main yun siraat-e-karb se hansta guzar gaya
tera KHayal hausla-afzaiyon mein tha
ab kya karen jo dil pe kisi ke laga ho zaKHm
nashtar hamari baaton ki sachchaiyon mein tha
haalanki KHud 'shafiq' bikharta chala gaya
masruf phir bhi anjuman-araiyon mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.