jo qarz mujh pe hai wo bojh utarta jaun
jo qarz mujh pe hai vo bojh utārtā jā.ūñ
koī sune na sune maiñ pukārtā jā.ūñ
miTā chukā huuñ jise apne safha-e-dil se
ġhazal ġhazal vahī chehrā ubhārtā jā.ūñ
na jaane mere ta.āqub meñ kaun kaun aa.e
maiñ apne naqsh-e-kaf-e-pā ubhārtā jā.ūñ
jo mere paas hai apne liye bachā rakkhūñ
jo mere paas nahīñ tujh pe vārtā jā.ūñ
qadam qadam pe na.e log sāmne aa.eñ
qadam qadam pe na.e ruup dhārtā jā.ūñ
kahīñ bane na anā merī raah meñ dīvār
ye tauq apne gale se utārtā jā.ūñ
muqābla to karūñ 'rāshid' apne dushman se
ye aur baat hai jītūñ ki hārtā jā.ūñ
jo qarz mujh pe hai wo bojh utarta jaun
koi sune na sune main pukarta jaun
miTa chuka hun jise apne safha-e-dil se
ghazal ghazal wahi chehra ubhaarta jaun
na jaane mere taaqub mein kaun kaun aae
main apne naqsh-e-kaf-e-pa ubhaarta jaun
jo mere pas hai apne liye bacha rakkhun
jo mere pas nahin tujh pe warta jaun
qadam qadam pe nae log samne aaen
qadam qadam pe nae rup dhaarta jaun
kahin bane na ana meri rah mein diwar
ye tauq apne gale se utarta jaun
muqabla to karun 'rashid' apne dushman se
ye aur baat hai jitun ki haarta jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.