jo raat bhar tere KHwabon mein ghumta hoga
jo raat bhar tire ḳhvāboñ meñ ghūmtā hogā
vo maiñ nahīñ mirī sūrat kā dūsrā hogā
haqīqatoñ kā mujhe tajraba nahīñ maiñ chalā
koī sarāb mirī raah dekhtā hogā
hamārī qabr kā koī nishāñ nahīñ phir bhī
hamārī qabr par ik shaḳhs ro rahā hogā
junūñ bane to sharāra vafā bane to gulāb
vo dil ke baare meñ itnā to jāntā hogā
tumhāre haath tumhīñ ko halāk kar deñge
hamāre baa'd tumhārā bhī faisla hogā
har ek lamha hai masrūf phir bhī be-maqsad
hamāre ahd kā anjām jaane kyā hogā
jo raat bhar tere KHwabon mein ghumta hoga
wo main nahin meri surat ka dusra hoga
haqiqaton ka mujhe tajraba nahin main chala
koi sarab meri rah dekhta hoga
hamari qabr ka koi nishan nahin phir bhi
hamari qabr par ek shaKHs ro raha hoga
junun bane to sharara wafa bane to gulab
wo dil ke bare mein itna to jaanta hoga
tumhaare hath tumhin ko halak kar denge
hamare ba'd tumhaara bhi faisla hoga
har ek lamha hai masruf phir bhi be-maqsad
hamare ahd ka anjam jaane kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.