jo rang-ha-e-ruKH-e-dostan samajhte the
jo rang-hā-e-ruḳh-e-dostāñ samajhte the
vo ham-nafas bhī mirā dukh kahāñ samajhte the
mohabbatoñ meñ kināre nahīñ milā karte
magar ye Dūbne vaale kahāñ samajhte the
khulā ki chādar-e-shab meñ bhī vus'ateñ haiñ ka.ī
zarā sī dhuup ko ham āsmāñ samajhte the
ḳhizāñ ke ‘ahd-e-asīrī se peshtar taa.ir
chaman meñ mausam-e-gul kī zabāñ samajhte the
unheñ bhī dahr kī farzāngī na raas aa.ī
jo kār-e-'ishq ke sūd-o-ziyāñ samajhte the
kisī kā qurb qayāmat se kam nahīñ thā 'sa'īd'
faqat firāq ko ham imtihāñ samajhte the
jo rang-ha-e-ruKH-e-dostan samajhte the
wo ham-nafas bhi mera dukh kahan samajhte the
mohabbaton mein kinare nahin mila karte
magar ye Dubne wale kahan samajhte the
khula ki chadar-e-shab mein bhi wus'aten hain kai
zara si dhup ko hum aasman samajhte the
KHizan ke ‘ahd-e-asiri se peshtar tair
chaman mein mausam-e-gul ki zaban samajhte the
unhen bhi dahr ki farzangi na ras aai
jo kar-e-'ishq ke sud-o-ziyan samajhte the
kisi ka qurb qayamat se kam nahin tha 'sa'id'
faqat firaq ko hum imtihan samajhte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.