jo rang the chaman pe na jaane kidhar gae
jo rang the chaman pe na jaane kidhar ga.e
khiltī thī jab kalī vo zamāne kidhar ga.e
maujūd dil hai dil kī magar rāhateñ kahāñ
'unvāñ to aaj bhī hai fasāne kidhar ga.e
ābād jin se mehr-o-vafā ke dayār the
un bastiyoñ ke log na jaane kidhar ga.e
kuchh baat hai jo mahfil-e-hastī ḳhamosh hai
mutrib ke dil-navāz tarāne kidhar ga.e
kahte hī she'r paḌhne lage hazrat-e-'jamāl'
kahiye vo aaj hiile bahāne kidhar ga.e
jo rang the chaman pe na jaane kidhar gae
khilti thi jab kali wo zamane kidhar gae
maujud dil hai dil ki magar rahaten kahan
'unwan to aaj bhi hai fasane kidhar gae
aabaad jin se mehr-o-wafa ke dayar the
un bastiyon ke log na jaane kidhar gae
kuchh baat hai jo mahfil-e-hasti KHamosh hai
mutrib ke dil-nawaz tarane kidhar gae
kahte hi she'r paDhne lage hazrat-e-'jamal'
kahiye wo aaj hile bahane kidhar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.